Pages

Sunday, January 23, 2011

Reality of Love

Faaslay to Piyaar ki pahchaan hua karty hain
Na janay kio log pareshan hua karty hain

Ye haqeeqat, kay jahan toot kay chaha jaye
Waheen bicharnay kay imkaan hua karty hain

Muhabbat bhi toofaan utha deti hai dil main
Aur phir raastay sunsaan hua karty hain

Dil bhi to ek ghar hai, jo basa karta hai
Ujaray, to jasay khaali makaan hua karty hian

Bichray panchi aksar lot kar nahi aatay
Phir Faqat yado kay nishaan hua karty hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...