Pages

Sunday, January 16, 2011

Uski Yaad Aati Hai

Chehra koi bhi aankh main thehra na phir kabhi
Dil ne kisi bhi shaks ko chaha na phir kabhi

Rootha zara si bat pe uth kar chala gaya
Aisa gaya kay lot kar aaya na phir kabhi

Kuch yoon mila tapaak se bus ishq ho gaya
Wo ajnabi tha? kon tha? socha na phir kabhi

Usnay bator-e-Tohfa diya tha ye Libas-e-Hijar
Pahna jo aik bar , utara na phir kabhi

Mohsin! Guzar gaya tha Had-e-Aetadal se
Janay kahan gaya, usay dekha na phir kabhi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...