Be rukhi us ne bhi ki, Uzar-e-Zamana kar kay
Hum bhi mahfil se uth aaye bahana kar kay
Kitni batain jo na kahna thi, likh bhaiji hain
Ab Pashaimaan hain, qasid ko ravana kar kay
kia hai un aankhon me, jo rakh deti hain
Aik achay bhalay insan ko deewana kar kay
Koi veerana-e-Hasti ki khabar kia lata
Khod bhi hum bhool gye, dafan khazana kar kay
Wo in aankhon me hi rahta, to acha tha
Hum ne kia zulm kia, dil me thikana kar kay
No comments:
Post a Comment