Pages

Sunday, January 16, 2011

Kia Hai..?

Hum na samjhay tairi nazron ka taqaza kia hai
Kabhi parda, kabhi jalwa, ye tamasha kia hai

Mujh ko Madshosh sa kar dala tairi aankhon ne
Warna saqi, tairy maikhanay me rakha kia hai

Daikh laila tairy majnoo ka kaleja kia hai
Khak ho kay bhi kahta hai k bigra kia hai

Ye soraahi sa badan lay kay mairy samny na aa
Main sharabi hoon sharabi ka bharosa kia hai

Apnay honton ko mairay honton se choonay to day
Aik ghoont se botal ka bigarta kia hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...