Pages

Sunday, January 23, 2011

Shikwa Karoon

Main kasay shikwa karoon, wo nadaan hai buhat
Udas kar kay mujhy khod bhi paraishan hai buhat

Kahnay ko woh maray qareeb hai buhat lakin
Faaslay ab talak hain hamaray darmayan buhat

Wo naye zakhmo kay nishan na daikh payen gay
Dil pe pichlay zakhmo kay nishan hain buhat

Beech bhanwar se nikal kar bhi kia mila mujhy
Kahmosh Sahilo pe hi toofaan hain buhat

Main na bhi chahoon to chali aati hain
Tairi yadain mujh par maharbaan hain buhat

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...